door tak chahe thay

door tak chahe thay
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
  

Jun, 05 2010     394 chars (3 sms)     2610 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hum jaan se jainge tabhi baat bane gi...

tum se to koi rah nikali nahi jati...
Main kahin gum hoon
tum kahin gum ho

phir bhi esa lagta hai
har jagha main hoon

har jagha tum ho.....!!
hum guhegar hain
humko saza dy do
bus mout ajae
itni se dua dy do...
wisl ho ya firaq ho mohsin,

jagna sari rat mushkil hi..
Kitabon Me Rakh K Sula Gya Humko,
Aanh Band Ki Or Bhula Gya Humko.
Koi Ajeeb Musawar Tha IMDAD,
Jo Baarishon Ke Mosam Me,
Kachi Dewaron Pe Bna Gya Humko.
WO Wafa Na ker Sake to Kia Hua
Kuch Dino Ka To Saath Nibhaya Tha
Tarapta Hua Chor Gya To Kya Gila Karain
Tarhpana B To Usi Nay Sikhaya Tha
Mere Zarf Ka Ye Qaso0r Tha Main Dard-e-Dil Na Chupa Saka,
Mare Zarf Ne Bhi DaGha Dia Main To Zarf Bhi Na Bacha Saka,
Mara Nafs Ik Alaao Tha Meri Ro0h Tak Ko NiGal Gaya,
Main Khawhishon K Is Alaao Ko Na Jala Saka Na Bujha Saka,
Jo Di Dostoon Ne Aziyatain, Thi Wo Dushmano Ki Anayten,
Main Tamam Umar Darta Raha Koi Dost Phir Na Bana SakaH
Mujhe Muflasi Ne Thaka Dia,
Mere Walwalon Ko Sula Dia,
Mujhe LouG Ye Keh Kar Juda Ho0wy Ye To Kuch Bhi Na Bana Saka ..
kabhi utro yun mera dil k kachay angan main...

kisis udas musam main,kisi veran lamhay main

chupkey se.dabey payon,meri ankhon par rakh do hath apne,

aur hansat howa keh do

bojh lo tu "HUM" tumhare
na booojho tu "TUM" humare
Suno
Kisi Ne Sach kaha Tha Ye
Mohabat Maar Nahi Sakti
Magar
Adhora Sach Suna Humne
Mukamal Sach To ye Hai Ke
Mohabat Khud Nahi Merti
Mohabat Maar Deti Hai
us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
"Nazam of the Year"

November guzr chuka hai,December guzr raha hai,
Aj Chabees (27) ho chuki haiUmeed kho chuki hai
Tak tak k tera rastaHar dharkan thum chuki hai
Ratein hain boht stati
Kuch aur din hain baqi
Phir naya Saal ho ga
Phir wohi haal ho ga
Dhondon gi tujhe din
ko
Har lamha har sa''at ko
Ik bar tu ayga
Keh de k tu ayega
Is Saal nahin lakin
Aglay bars ayega
Ye dil behl jayega
Jhotey tery wadon par
Qasmon par iradon par
Behla hai ye pehly b,Ye phir behl jayega
Novembr guzr chuka hai
December guzr raha hay...
jo bhi aave hai nazdeek hee bethey hai terey,
hum kahan tak terey pehlu se khisaktey jaavein...

(aap ko meri poetry kaisi lagi,, rply zrur kijiye ga...)