HUM NA MANGA BI

HUM NA MANGA BI
HUM NA MANGA BI TU APNI BASAAT SA BARH KAR...
JO HAMARA NA THA..
USAY KAISAY HASIL KARTAY...
BAT WAFAON KI AGAR HOTI ...
YON NA HARTAY ALI..
KHAIL NASEEBON KA THA..
USAY KAISAY KAYAL KARTAY
  

Jun, 07 2010     196 chars (2 sms)     2776 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meri Aankho''n K Jaadu Se
Tum Na-waqif Ho

Main Usay Pagal Kr Deta
Hoon Jis Pe Mujhy Pyar Aa Jaye ...
Dur reHnE Ka giLa Mat karO

karEEb raHne sE Hi kOi

risHta kHaas naHi hOta

Aap yadO mE Karib Ho

itnE k 1 paL b duriyOn

Ka eHsas naHi hOta
Mausm ki Fiza aaj bhi
Purkaif he

Pr Guzri hui Brsaat ki
Hasrt nahi jaati.
hum jaan se jainge tabhi baat bane gi...

tum se to koi rah nikali nahi jati...
kal jase ataa tha apne husan pe ghroor.

aaj wo mare payar ki beakh mang raha hai.
Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se.
Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain.
Chaha Na Us Ne Bas Dehkta Raha,

Meri Zindgi Se Wo Is Tera Khlta Raha,

Na Utra Kabhi Meri Zindgi Ki Jheel Me,

Bas kinray Pey Behta Pathar Phainkta Raha..
Tum Yeh Khabi Nahi Samajh Pao Ge
K Hum Tum Se Kitna Pyar Kartey Hai

Hum Yeh Nahi Samajh Payenge
Hum Kiyo Tum Se Kitna Pyar Kartey Hai

Khuda Na Karey Khabi Aisey Judaai Aajayi
Issiliey Apni Dill Ki Baat Dill Main Chupayi Rakhtey Hai
laghzishon se mawara to bhi nahin ,main bhi nahin
done bande hain khuda to bhi nahin main bhi nahin

maslehet ne ker diya dono main peda ikhtalaf
werna fitrat ka bura to bhi nahin ,main bhi nahin

mukhtalif samton main dono ka safar jari raha
aik lamhe ko ruka to bhi nahin ,main bhi nahin
Mohabbat Ki Haseen Rahon Mein Aksar Mene Dekha Hai

Jo Sathi Sath Chalte They, Bichhartey Maine Dekha Hai,

Sajaatey They Barey Hi Shoq Se Khayalon Ki Haseen Duniya,

Bohat Choti Si Baaton Pe Ujartey Maine Dekha Hai,

Jo Kehte Thaay K Ik Pal Bin Tere Hum Reh Na Payenge,

Saamna Ab Ho To Chup Chap Guzartey Maine Dekha Hai,

Jo Kehte Thaay Tera Rishta Zamane Bhar Se Afzal Hai

Unhi Rishton Ko Pal Bhar Mein Bikhartey Maine Dekha Hai.
Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak

bhoolna chaha agar uss ko kabhi
Aur bhi wo yaad aya dair tak

bhookhey bachon ki tassali key lye
maa ney phir pani pakaya dair tak

jab mai roo ker muskuraya na dair tak

gungunata ja raha tha ik faqeer
dhoop rehti hai na saaya dair tak

Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak
Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do...