yaad na karo

yaad na karo
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Rootho Gi To Manaoun Ga
Ro Gi To Hasaoun Ga
Dost Hoon Mein Tumhara Saaya Nahin
Jo Andhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
  

Jul, 21 2013     144 chars (1 sms)     2809 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain
mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee
jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain ........;->
tum taslee na do bus yon he pas bathe raho..

waqat kuch mray mrnay ka tul jay ga..
Apne asool yun b kbhi torne pare,
uski khata thi hath mjhe jorne pare...

Aya na jb qarar dil-e-beqara ko,
tu yadoon k rukh mjhe tmhari taraf morne pare...

Unko tu meri yad b na i bhool kr,
apne parae jn k liay chorne pare...

Wo shakhs bara ba-asool tha,
apne asool jis k liay mjhe torne pare.......
Barsoon baad bhi uski aadat na badli bewafai ki,RAZA,
Kaash mein mohabbat nahi uss ki aadat hota...
Andheri raat mein rehtey to kitna acha tha...
hum apni zaat mein rehtey to kitna acha tha
dukhon ne baant liya hai tumharey baad hamein
tumharey haath mein rehtey to kitna acha tha.....
Woh
Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai
Aur Mai
Sochtee Hoon Kay
Mujhe Pagal Bananay Wala
Mujhe "Pagal" Kyun Kehta Hay
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Yeh jo haseeno k baal hote hai,larkon ko phasane ke jaal hote hai,jaane kitno k khun piye honge,tabhi to inke hont laal hote hain
Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga

Yaar Say Gham Keh Ker To Khush Ho Laikin Tum Yeh Kya Jaano
Tum Dil Ka Rona Rote Thay Woh Dil Mein Hasta Hoga

Aaj Kisi Nai Dil Tora To Hum Ko Jaisay Dheyaan Aaya
Jiska Dil Hum Nai Tora Tha Woh Jaane Kaisa Hoga

Mere Kuch Pal Mujh Ko Day Do Baaqi Saray Din Logo
Tum Jaisa Jaisa Kehtay Ho Sub Waisa Waisa Hoga

Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga
Dill chahey woh koi baat karey
jab dill kay taar tootey hon
jab saarey mujh say roothey hon
jab aankhain meri beeghi hon
dill chahey woh koi baat karey
Kissi ko mohabbat ki sachai mar dalegi,
Kissi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi,
Kar ke mohabbat koi nahi bachega,
Aur jo bachega use tanhai mar dalegi.
Nighahain bolti hain Betahasha

mohabat paglon ki guftgu hai.