Mangnay walon k dil ko ye yaqeen hai ABBAS(a.s).
" NA " karna tera dastoor nahi hai ABBAS(a.s).
Aa rahi hai Daro deewaar say Khushbo-e-Wafa.
Aisa lag raha hai is waqt yaheen hain ABBAS(a.s).
Kabbah Ali(a.s) k faiz se gulzaar ban gaya.
but khanay se jo badla bawaqar ban gay...
Kabba Ali(a.s) ka shukir manay k wastay...
kala libass pahn k azadar hogaya...
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega
Saans leta hoon tu Jannat ki hawa ati hai,
Dil darakta hai tu Matam ki sada ati hai,
Qabar mein boolein gay Malak-ul-Maut kia tu uthata tha Alam ?
Teri maeyat se tu khushboo Wafa aati hai..
Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BATOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-HUSSAIN a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain