Kartay hein log maal jama kis lye yahan...

Kartay hein log maal jama kis lye yahan...
Kartay hein log maal jama kis lye yahan...

Silta hai aadmi ka ''KAFAN'' jaib k baghair . . . !!!
  

May, 27 2010     99 chars (1 sms)     2547 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

aaj ki raat bhi mumkin hy na so skon mohsin,

yaad phir aaey hain neendon ko urranay waly..!
Tujhko Dhoondte Hue

Ek Arsa Hai Beet Gaya,

Aaj Jab Tu Laut Aaya Hai

Mere Paas.

Tujh Mein ''Tu'' Nahin

Koi Ajnabi Hai Samaya.
Main khud gharz itna hoon k bas yehi chahoon.../

Rahein hamesha MERI Muntazir TERI ankhein.../
*Main yun sanbhal gai ky tairi bewafai ny
Beaitibar"ion sy shanasa kiya mujhy

Woh apni aik zaat mein kul qainat tha
Duniya ky her faraib sy milwa dia mujhy
Bayaan kar un say mera haal-e-dil....¡ Aye 'hawa''

mera dost yeh na samjhay k mujay us ki yaad nahi aati
Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha hoga chand

Meri karawat par jag uthe
Nind ka kitana kachcha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apane ishq may sachcha chand

Rat ke shayad ek baje hain
Sota hoga mera chand
aa jata hai milney wo taswar main sar-e-shaam

ek shakhs ki itni c inayat b bahut hai...
Ab hum nay bhi unse naraz rehnay ki thaani hay.
Roz o Shab Umr e Rawaan Ki Bus Yeh Kahani hay.
Socha Hay k ab na kabhi Unko Yaad Ayengaya.
Masla TO yeh Hay kay Unko Kese Bhool Payengay.
AnDaz Fatah Ka Magar Chehre Pe weeerani hay.
Dil Hay toota hua Or ankhon se Behta paani hay.
Kehnay ko kehna Chahoon to kuch or boldoon.
is pyar ki kahani ko naya Mor Doon.
Phir bhi is dil ko abhi Awaaz lagani hay..

kia tum nay bhi hum se naraaz rehnay ki thaani hay?
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!
Mujh may khushbu basi usi ki hay...


Jaisay yeh zindagi usi ki hay...


Woh kahee''n aas-paas hay mairay...


Ho na ho yeh ha''nsi usi ki hay....


Ab to khuwaab hi nahee''n mairay....


Ab to neend bhi usi ki hay....


Ya to koi kami nahee''n mujh may...


Werna mujh may kami usi ki hay....!!
Jana kaha tha or kaha aa gaya!
duniya me bankar mehman aa gaye!
Abhi to zindagi ki kitab thori b nai padhi aur na jane kitne imtihan aa gaye.
Toot Jata Hai Garibi Mein
Aksar Wo Rishta

Jo Aksar Khaas Hota Hai

Paraye Bhi Apne Ho Jate Hai

Jab Paisa Paas Hota He