ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
ab Baat Jo Karni Ho, aankhon Se Kaha Karna
aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Samandar Mein Otar Ta Hoon Tou aankhein Bheeg Jati Hain
Teri aankhon Ko Parta Hoon Tou aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gaya Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Se
Kisi Se Baat KartaHoon Tou aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi HanstaHoon Tou aankhein Bheeg Jati Hain
Tamanaon Ke Bahlaave Mein aksar aa Hi Jaate Hain
Kabhi Ham Chot Khaate Hain Kabhi Ham Muskurate Hain
Ham aksar Doston Ki Be-Vafaaii Sah To Lete Hain
Magar Ham Jantey Hain Dil Hamaare Toot Jaate Hain
Kisi Ke Sath Jab Bite Hue Lamhon Ki Yaad aai
Thaki aankhon Mein ashkon Ke Sitaare Jhil-Milate Hain
Yeh aankhen Bohat Satati Hain
Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain
Mujhe Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
Kuch apni Zaban Main Bolti Hain
Bas apni Baat Manwati Hain
YEH aaNKHEN BOHaT SaTaTI HaIN
Ek aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke Wapis aati Hain
YEH aaNKHEN BOHaT SaTaTI HaIN
Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai
Phir Khuwabon Se Bhar Jaati Hai
Jab Toote Shor Machati Hai
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai
Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai
Yeh aankhen Bohat Satati Hain
ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya Jaam Dou aur Donon Hi Do aatisha ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
ankhain Uth Ker Jhukeen To adaa Ban Gayeen
ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
ankhain Jin Mein Hain Qaid aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
Wo aankhein
Meri aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo aankhein
Meri aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab afsurda Hoti Hain
To Main afsurdsa Hota Hoon
Wo aankhein
Meri aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon