Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai
Phir kahain Dour sey ik baar sada do mujh ko,
meri tanhai ka ehsas dila do mujh ko
.
tum tou aftab ho tumhey meri zarorat kya hai,
main diya hoon kisi chokhat pey jala do mujh ko
Khush ho ay dil mohbbt to nibha di to ne,
log ujar jatay haanjaam se pehlay pehlay
ab teray zikar pe hum baat badal daite ha kitne raghbat thi teray naam se pehly pehly
samne umar pari ha shab-e-tanhai ki,
wo mujhay chor gaya sham se pehly pehly.../
Iss Badi si Dunya mein har Shakhs ko choti si Ek Talaash hoti ha . . .
Kisi ko Dost ki. . .
Kisi ko pyaar ki. . .
Kisi ko Chahat ki. . .
aur
Kisi ko aPNO ki. . .
Bass ek apna joh Sirf apna ho. . .
Shayad or Kuch Bhi nahii!!. .