Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
aik aik kar k,dubtay ja rahe hain sitaray,aur chand bhi kahin chup gya hai,main tumhara intizar kerte kerte thak gya hon,chali ao,chali ao k ab zindagi tumharey bin guzarti hi nhi,chali ao k ab mere seene main chupa,karb angari lay raha hai.!
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Usne kaha tum main pehli c baat nhi.main nay kaha zindagi main tera sath nhi.usne kahaab bhi kisi ki ankhon mian doob jatay ho?main nay kahaab kisi main wo gehrai nhi.usne kaha kyun itna toot k chaha muje?mene kaha insan hon pathar to nhi.usne kaha kia main bewafa hon?mene kaha muje wafa ki talash nhi.usne kaha bhol ja mujh ko..mene kaha tum haqiqat ho koi khawab nhi. :)
Yahan apni apni bari per sab hanste hian..Sab rote hain..dil to sab ka hota hai,aur dukh bhi sab k hote hain.kuch ashq dilon per girtey hain,kuch matti main mil jatay hain.kuch lafz adaa ho jatay hain ,kuch honton main sil jatey hain..Mana k adhooray rehtay hain par khawab to sab k hotay hain.