Uski yaadon ka silsila hoga is kahani main or kya hoga jab bichar kar bhi wo khamosh raha Ghar jaa kar tu ro diya hoga khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga itnaaasaan na tha mujhay khona usne khud ko ganwa dia hoga mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga sochta hoon jo mujhko chahta tha yaad mujh ko kar raha hoga
us nay meray seenay per sir rekh ker poocha jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay mil saktay hain sabhi sitaray
daryaon k saray moti
sawan ki pehli barish k saray qatray
ujlay chand ki sari kirnain
dharti k seenay sa liptay sabhi khazanay
saray mousam sabhi duayen
phoolon ki rangeen qabayen
patti patti pernay wali bheeni shabnam
ism-e-azam
us nay meray seenay pe sir rekh k poocha jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay sub kuch apna,sub kuch,sub kuch
apna sub kuch day saktay ho
ma nay us ka maatha chooma or bola jub
pehli bar meray seenay pa tum nay apna sir rakha tha
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch loog hain ujaare dil waale
Jinhain apni mohabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neend baqi hai
Jisse bantana hai kuch loogon mai
Unko bhi to rahaat deni hai
aae umer-e-rawan!
ahista chal
abhi khasa karz chukana hai.
agar awaz dainy say
agar wapas bulany say
agar magmum huny say
agar ansu bahany say
Bichar kar jany waly lout aaty ,to
Phir hum awaz dy laity
Bohat ansu baha laity
Inhein jany nahi daity
Inhein dil mein basa laity
Samy ko rok laity
Waqt ko qaid kar laity
Magar aaty howay logon ko jana hy
Inhein jitna bhi rooko,inhein ahkir ko jana hy
So hum ny souch rahka hy
K in ko naik bahkti ki duaein dein
Humary pass guzaray mosamon ki chand yaadein hein
So unki nazar karty hein
Humary pass chand ikhlas mein mehki duaein hein
So unk naam karty hein
is raat ki tanhaiyo k
sb rang badal gye hain,
chand nikla hai waise hi
andhere badal gye hain,
jin k bharosey thi khushiyan
vo loog badal gye hain,
manzelein tu ab bhi vohi hai
kuch rasety badal gye hain,
jis pey kya tha bharosa hum ne
vo dost bichar gya hai,
dekhey thay jo kbhi hum ne
vo khwab badal gye hain,
jo baney thay kabhi humsafar
aj wo he mukar gye hain,
is totey hoye dil k sarey
jazbat badl gye hain,
na badley kabhi HUm
na badley kabhi humhare khyalat
BUS
rona hai yahi
KUCH LOOG BaDaL GYE HaIn