anaa Ek aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Ye Sar Ko Na Jhukane Ki
Badan Se Qasam Leta Hy
Dilo''n Ki Har Tamanna Pr
Ye Kaari Zarb Hota Hy
aur Is K Har Taqaze Mein
Bala Ka Karb Hota Hy
Ye Dunya Ki Kisi Talkhi Se
Derne Bhi Nahi Deta Ye JEene BHi Nahi Deta Ye Marne Bhi Nahi Deta agar Jeewan Ki Raaho''n Main
Jo Chahat Ko Kabhi Chaho
Rahat Ko Kabhi Chaho
Kisi k Saanp Lafzo''n Se
Isay Daswana Parta Hy
Mohabbat Kerne Se Pehle
Isay Dafanana Parta Hy
anaa Ek aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Hai Juda Hona Hi Thehra To
Giley Kaisey Shikayat Kya Juda Ho Jayein Chupkey Say
Na Tum Bolo Na Main Boloon
Humarey Bol Parrney Say
Judaai Phail Sakti Hai
Hawaon Mein
Fizaon Mein
Judaai Zaat Mein Bhar Lein
Chalo Hum Iss Tarah Kar Lein
Kisi Sunsaan Rastey Ke
Kisi Bhi Morr Par Dono
Juda Ho Jayein Chupkey Say
Na Tum Bolo Na Main Boloon
Humarey Bol Parrney Say
Judaai Phail Sakti Hai ...!!
Iss Dard k Baad Koi Dard Dard Nahi Legta K Shidat-e-Dard Ki Inthia Hoti hai Mohabbat
Nahi Uththi Wo aankahin Phir kisi Pe
K Jin aankhon Mein Fana Hoti hai Mohabbat
Umer Bher Jinkaaazala Na Ker Paain
Bas aik aesi Hee Khata Hoti Hai Mohabbat
Jo Mil Jaye To Phir Bas Kia Kehna WernaaIk Musalsel Saza Hoti Hai Mohabbat
Log Mujhse Her Baar Yehi Pochte Hain
Tum Ne Uss Mein Dekha Kia?
Mein Her Baar Yehi Kehta Hon
Bewajah Hoti Hai Mohabbat