as SMS Messages9841 messages

Manzil bhi us ki thi,Rasta bhi us ka tha
Ik mein akela tha,Kafila bhi us ka tha
Sath sath chalny ki soch bhi us ki the,
Phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha
Aaj ku akela hoon,Dil sawal karta hai
Log to us k thy,Kia khuda bhi us ka tha,
Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
kahan milti hai wafa in matti k haseen insanoon se
yeh log bina matlab k KHUDA ko b yad nai kerty
yeh duniya hai yahan pey yeh tamasha ho b sakta hai
abhi tu gham humara hai tumhara ho b sakta hai
Na ye samjo k tum hi akhri uski mohabbat ho
mohabbat juram hai usey dobarra b ho sakta hai
tera milna
bichar jana
bichar k pher mil jana
humesha ki judai ka ishara ho b sakta hai
Tum apny ap ko hrgiz koi ilzam mat dena ye soda hai mohabbat ka khasara ho b sakta haiii
Kab usay intizaar mera tha
Ye to bas aetibar mera tha

Meri khush fehmi thi shayad
K us pe kuch ikhtiyaar mera tha

Kabhi uski bhi aisi haalat thi
Jaise dil-e-beqaraar mera tha

Ghamon mein qaid kar gaya mujhe
Wohi jo gham gusaar mera tha

Mein bhala kaise bhool jaon usay
Jo kabhi aik baar mera tha
zindagi per aik kitab likhon ga
main us me wo saare hisaab likhon ga

hui barbad meri zindagi kese?
Kese bikhre hen mere khawab likhon ga

khud ko kisi tili ka roop de kr
auron ka chehra gulab likhon ga

kisi ko llzam-e-bewafa na donga
bas apni hi qismat kharab likho ga
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta.
KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo Teri Ankhon K Khawb Sary Wo
Baten Sari Hisab Sary Sawal Sary
Jawab Sary
Wo khushain Sari
Azab Sary
Nasha Tha Jo Wo Utar Giya Hai,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI!
Jo Tery Milny Ki Arzo Thi
Jo Tujko Pany Ki Justju Thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo Teri Ankhon Main Roshni Thi
Jo Teri Baton Ki Rangini Thi
Jo Teri Sanson Ki Tazgi Thi
Jo Tery Lehjy Main Chashni Thi
Wo Sara Meetha Pighal Gaya Hai
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY"
Chal aisy dais main chalty hain
Jhan chand aur sooraj milty hon
Jhan rang titley phelati hon
Jhan khoshe kay jharnay behty hon
Jhan baton say khoshbo ati ho
Jhan piyar ki basti basti ho
Kabhi shikaston ka dukh uthaye to us say pochon,
Woh meri manind toot jaye to us say pochon,
Usey bhi koi sitara manzil say door kar day,
Usey bhi koi rasta nazer na aey to us say pochon,
Safer main woh bhi kisi karey imtihan say guzrey,
Usay bhi koi yun azmaye to us say pochon,
Meri tarhan din charhey woh bhi soye salik,
Usey bhi raat bher neend na aye to us say pochon.
Please Fill Honestly...

*) Cheezain Jo Ap Meri Kabhi Na Bhool Sako

1-
2-
3-


*) 3 Name Jis Se Tum Mujhe Bulao

1-
2-
3-

*)3 Alfaz Mere Liye
1
2
3
MST RPLY
barish ki tara tuj pe barasti rahyn khuushian
har boond tery dil sy har gham ko mita dey
happt raini day.?