as SMS Messages9841 messages

Hijir ka taara doob chala hai dhalny lagi hy rat wasi
Qatra qatra baras rahi hai ankhon se barsat wasi
tery bad ye dunya wale mujh ko pagal kar dein gy
khushbu k dais mein mujh ko le chal apne sath wasi
yunhi chup ki mohr laga kr kb tk gumsum betho gy
khamoshi se dum ghut-ta hy chero koi baat wasi
Masroof hai din raat usy wakat kahan hai
wo muj sy kary bat usy wakat kahan hai
betabi-e-dil ka usy andaza kahan hai
samjy mery jazbat usy wakat kahan hai
Ye tu Dil tha Dewana k Tum per aa gaya
Warna Hum Keemti pathron ko be uthaya nhi krty
Ye mana k Tum Haseen hoo magr ye be sun loo
Hum Haseen logon se dil lagaya nhi krty
Jis se Krty hain pyar bus ek hi baar krty hain
Baar baar hum b kisi ko sataya nhi krty
zindagi mili zra c thi,
kuch es m kami zra c thi

wo roz hota gaya pass mere
lekin phir b dori zra c thi

qasoor chachme awara ka zada tha
meri to marzi zra c thi

muhabbat bant di us ne zamane bhar m
jo mere hisse m ae zra c thi
Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo,

Is Aashiq Dil Ka Na Aitbar Karo,

Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aansoo,

Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Kia Karo,
Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
Kaanch Ki Choori

Kitni Sada,
Kitni Pyari,
Kanch Ki Chori Jesi Larki,
...College K Ik Kamry Me Bethi,
Jany Kya Kuch Soch Rahi Thi,
Us Ka Hath Kalai Pr Tha,
Or Who Kch Kch Khofzada Thi,
Ab Kia Hoga???
Mai B Us K Pas Hi Betha,
Us Ko Ghur Sy Dekh Raha Tha,
Mene Us Ka Hath Pakra,
Aur Pyar Sy Pocha,
Kiya Qissa Hy?????
Uski Ankhen Bheeg Gaien,
Aur Wo Dheemi Si Awaz Me Boli..

Dekho..!!!

Chori Toot Gai
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
kiya likhon tery naam sajan
tuje sochon subho sham sajan
tm neeli jheel ka pani ho
mohobbat ki ek kahani ho
tm pyar ka meethe bol ho
tm hr ek se anmol ho
tm aasman ka badal ho
tm mari aankh ka kaajal ho
tm mere mann ki jeet ho
mere labon ka geet ho
tm chaman me khilta gulaab ho
chahat se likhi kitaab ho
tm mere liye mere sanam ho
jo toot na sake wo kasam ho
kiya likhon tery nam sajan
tumhe sochoun subho shaam sajan
November ki ik sard sham main.
Tum nay hamaray hath tham kar hamari ankhoon main jhankhtay hoy kha tha.
k jab purwa ki thandi hawain chalain gi.
kali ghatain laharah kar ain gi.
Sawan TOOT kar barsay ga*TU*asay main achanak Chupakay SAY MAIN Ajao GA.
*JANA* SADIOON SAY HAMAIN US SAWAN KA INTZAR HAY*
SHUKRANA

Aye Khuda...Sun...Zara...
Haath Mere Uthey Jab Dua k liye...
Lab Hiley,aankh se chand Qatrey Girey
Ghaur se main ne Dekhi Hatheli wahan...
Qatre Moti k jaisey chamakne lagey...
*Khushboo* Ghulne lagi jab Meri Sans me
Khul k Ehsaas mujh ko hua iss tarha....
Arsh Par Badalon se Parey Uss Jagah
Poori Hone Lagi meri Har ek Dua
Wo Dua jiss ko Boya tha Dil k Jahan
Aabiyari thi
ashkon ki Har pal wahan
Soz hardam Tadap aah o zaari Rahi
Wo Dua kesey na
Rang laati meri?
Ek Muddat ye gham mujh pe haawi Rahey
Mere SAJDE tere Dar Sawali Rahey
aour TU iss Qadar..iss Qadar Mahraban..
Hai Tere hi Karam ki ye sab Inteha
Mere Hathon ko Girne se hi qabl yun
Bhar Di Jholi meri Tu ne Rabb E Jahan...
Hai ye tera Karam...
moajza jo kiyaa....
***WO JO MERA NAHI THA****
mera HOGAYA....
WO mujhay choor gya hay
y baat tu sach hay
magar baat hay ruswai ki
WO jhan khain bhi gya
loat kay meray hi pas aya
ik yahi baat achhai hay meray harjai ki