Zindagi bhar zindagi ki saza milti ra
hi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti ra
hi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun
hi hawaa milti ra
hi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti ra
hi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti ra
hi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti ra
hi.