Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai
Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai
Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.
Saleeka
hi na
hin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai
Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur p
hir socho
Ki iske baad b
hi is duniya mein kuchh paana zaroori ha