i SMS Messages26216 messages

Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALi ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZi (A.S) KO
jahan pe QASiM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANi HASHiM Kaha Jata tha GHAZi (A.S) ko.
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain
Aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
Woh Jo Rangeen Hua Khoon-e-Shabbir(a) Say
Aasmaan Se Bhe Uncha Woh Parcham Karo
Karbala Say Yehi Aarahi Hay Sada
Zindagi Chahtay Ho To Matam Karo
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo iMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara iMAM-E-ZAMANA(a.s) hai
Dour zehnoon se teeragi ker lo
Zikar-e-HAiDER(a.s) se roshani ker lo
Ji rahay ho baghair hub-e-ALi(a.s)
es se behtar hai khud kushi ker lo
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara imam(A.S)Zinda Hai.
Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay KHUDA ke azaab main

Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga


Marhab-e-waqt ko jiss teer say dar lagta hai
Run mei us teer ko baysheer(a.s) say dar lagta hai
Pay-e-Abid(a.s) mei pehnayee thee jinhon nay zanjeer
Unki aulad ko zanjeer say dar lagta hai

Submited in : in Honour Of Hazrat Hussain

Characters : 198 | Sms Length : 2

Submitted By K|-|AD!M From khi ( 0332-3160854 )