Har taraf har jagah beshumar aadmi Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi Subah se shaam tak bojh dhota hua apni hi laash ka khud mazaar aadmi Har taraf bhaagte daudhte raaste Har taraf aadmi ka shikaar aadmi Roz jeeta hua roz marta hua Har naye din naya intezar aadmi Zindagi ka mukkaddar safar dar safar aakhri saans tak bekaraar aadmi
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy.. Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy.. Khat mein dil ki batein likhnaachi baat nahi, Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy… Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye, aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy… Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly, K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy
Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha Jis Tarhan Hum Nay Chaha Us Tarhan Hona Hi Tha Raiza Raiza Ho Kar Beekhra Fizzaon Main Baddan Chaandni Ki Chaah Main Yeh Haadsa Hona Hi Tha … Hadoon Say Ghuzar Kar Hum Nay Pooja Tha Jinhain Un Haseen Logon Nay aakhir Dewata Hona Hi Tha Ummar Bhar Dil Shaad Rehta Tark-E-Ulfat Pay Mera Ek Baar Tu Woh Poochtaagar Bewafa Hona Hi Tha Hain Mundaamil ab Chahatoon K Woh Zakham Jal K Dil Ki Raakh Nay aakhir Dawa Hona Hi Tha
tanha dekh k mjhse faraz ne kaha.. apka doston ne apko bhula dya hoga... mene muskra k jawab diya.... wo beawafa nai tharki hain kisi larki ka number hath agaya hoga........