Yeh Zindagi barri ajeeb si..
Kabhi gulzaar si..
Kabhi bay-zaar si..
Kabhi khushi hamaaray saath saath..
Kabhi ghhamo''n ki barsaat si..
Kabhi Toofano''n may bhi hain raastay..
Kabhi manzilo''n ka pata naheen..
Kabhi do qadam pay zindagi..
Kabhi sadiyo''n tak intezaar si..
Kabhi her pal imtehaan hai..
Kabhi bin maangay Inaam si..
Kabhi kuch naheen..
Kabhi sab kuch si..
Yeh Zindagi barri ajeeb si..!!
Tanha si zindzgi me tanha hai har rasta ,
dosto yaaro se jaise toota ho vasta,
sabhi hain saath par najane kiski kami hai,
itni khushiyo me najane kaisi gami hai.
Kyo patjhad me sawan ka deedar karti hoon,
kyo har ghadi sirf tera intezaar karti hoon,
tu kaun hai kaha hai, is sab se anjaan hoon,
kya teri tarah ,main bhi teraarmaan hoon.
Tu naaa ,magar aane ka vada to kar,
meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
teri aas me najane kab se nahi soi,
teri yaad me najane kitni raate roi,
ab apni khushi se mera gam aadha to kar,
tu naaa magar aane ka vada to kar.............
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh naabaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee
KaBHI SHaBNaM TO KaBHI SHaBaB LaGTI HaI
TERI HaNSI EK KHILTa GULaB LaGTI HaI
MaI PIYUN Ya Na SaHI
LaDKHaDa KaR CHaLTa HOON
KYONKI TERI GaLI KI HaWa BHI
aB SHaRaB LaGTI HaI................
KaBHI SHaBNaM TO KaBHI SHaBaB LaGTI HaI
TERI HaNSI EK KHILTa GULaB LaGTI HaI
MaI PIYUN Ya Na SaHI
LaDKHaDa KaR CHaLTa HOON
KYONKI TERI GaLI KI HaWa BHI
aB SHaRaB LaGTI HaI................
yeh mumkin hai hamaray darmiankoi
ghalat fehmi bhi na rehti
jo apnay dil mein choti si
khalish hai khatm hojati
bata deta k mujh ko aaj bhi uski zarorat hai
jo is jevan ka hasil hai to bus uski mohabat hai
bata deta k logon ki sabhi baaten fasanay hain
sabhi qisay puranay hain
main keh deta k zara si baat pay yun rothnaacha nahi hota mohabat karnay walon mein
ghalat fehmi to ho sakti hai par jhagra nahi hota main har ik baat keh deta khalish bhi dur hojati
main uska hath thamay yunhi uska hum qadam rehta woh agay hath to karta wo mujh say baat to karta
Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHaBBaT THaIR JaaTI HaI..