Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko b
higota howa,in masafton tak lay
hi jaega jinhain ab
hi daikha n
hi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta
hi n
hi.ye chalta hai aur chalta
hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main ma
hi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.