Inda SMS Messages1123 messages

kya toota kya bikhar gaya ye mein janta hoon
andhiyoon mein chiraag jalaney ki saza mein janta hoon

janey wo kon log the jin ko mila sila mohabtoon ka
zakham_e_mohabat ki tarap ka maza mein janta hoon

door se dekho iss ko pass jaogey toh pachtaogey
zIndagi ke chehrey pe hai kya likha mein janta hoon

un ke koochey se uthey jo mera janaza toh kya baat hai
un ki bahoon mein marney ka maza mein janta hoon

kyun bewaja mujhe zIndagi se milatey ho yaro
zIndagi aur maut ke beech ka khala mein janta hoon

wo khafa se hein ye be janta hoon mein
un ki narazgi mein be hai ik ada mein janta hoon !!
teri yadoon ke bina koi lamha guzara nhin
ik pal nhin jub tumein hum ne pukara nhin

meri nakamiyun ka itna be gham na ki jiye
agar app jeetey hein toh mein hara nhin

ye naqsh_e_dard kesey utara jayein chehrey se
mein ne abi app ka gham dil se utara nhin

tere bin yoon kat rahi darya_e_zIndagi mein
kashti be hai maaji be hai kinara nhin

kar rakha hai jiss ne sarey ghar mein ujala
ansoo hein mera ye koi toota houa tara nhin

kiss ko galey laga ke royein namuraad hum
iss bhari duniya mein apna koi sahara nhin

mareez_e_ishq hai tamanai khudkushi ka ab
gehrey hein dil ke zakham aur koi chara nhin!
khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye

muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye

ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye

main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zIndagi apni kitaabon mein chupa ker ley jaye

khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye

un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye
Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai
na woh hum ko samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai
Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai
Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai
Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai
Apni hi dhun mein guzari hai yaaro
Meri zIndagi mein ajab ik maza hai
Chalo ye raat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain,
Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain,
Chalo acha yon karte hain,
Suno tum ham sunate hain,
Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain,
Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti jarahi hay zIndagi MEHTAB,
Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain,
andhari rahoon k is safar mai
k jis k unwan hai zIndagi
bohut se doshwar marhalain hain
Ghamoon k tareek silsilay han
Dukhoon se chalne har khoshi hai
bohut he mushkill hai humdam kuch aesay rastoon par tanha chalna
magar jo mujha ko cala rahi hai
tumhari yadoon ki roshni hai
"CHAND SY BATEN"

Pichly pehr ki raat thi Tanhai or teri yaad thi.

Chand ny mujh sy kaha kon haiMeny Kaha koi 7 nahi.

Bola zIndagi kesi haiMeny kaha koi khaas nahi.

Bola phir kya chahti hoMeny kaha koi aas nahi.

Bola tum ny pyar kiya haiMeny kaha kuch yaad nahi.

Bola tumhary 7 bhi dhoka hua hai
Meny kaha koi aisi baat nahi.

Bola aik baat kahoon
Meny kaha koi aitraaz nahi.
Bola too ny bhi pyar kiya hai aur wo tery 7 nahi..
"ZIndaGI"

Baray dukh bharay hain jana meri zindgi k lamhe
gar ho sakay to sunna meri dastan khudara

na mil sak athikana meri bekraryoon ko
kahin ro k raat kati kahin ro k din guzara.
chein kar Dil mara woh chall diyeah hain aur kay sath,
humari zIndagi say door, humaray dass say dooor....
Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
ZIndagi door rakhte hai satanay k liye


MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye



In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye



Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye


Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal janay k liye



Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zIndagi, mar janay k liye
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai ZIndagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
ZIndagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...