Inda SMS Messages1123 messages

Rakhay khuda nay do rastay mujhay azmanay k liye
Woh chor day mujh ya mein chor doon usay zamanay k liye
Kaisay maang loon rub say usay bhool janay ki dua
Hath uthtay nahi hain dua mein usay bhool janay k liye
Nahi ki zIndagi mein meinay koi bhi neki
Par parhi hain chhup k kuch namazein usay panay k liye
Nahi hai tu na sahi who qismat mein meri
Par aik mauqa to day usay ay RAb yeh aansu dikhanay k liye
ZIndagi bhar zIndagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.
zIndagi k kisi mor per khu ko tanha na samjhna,me tere sath hun apne se juda na samjhna,me tujhse jan se badh kar pyar karta hun,meri is muhabat ko bura na samjhna,tum phulon ki tarah khubsurat ho masoom ho,dekho meri is tareef ko bejaan na samjhna,umar bher tera sath dene ka wada kia he,zIndagi ne agar sath na dia to bewafa na samjha,ab b tune mere pyar ko thukraya sanam,ise mera muaddar jan na,apni khata na samajhna..
saanwli si magar khoobsurat hai wo,

meri zIndagi or mohabbat hai wo,

jise barso tarasha khawabo may maine,

khawabo se behtar haqiqat hai wo,

dekhon tou bas dekhte reh jaon,

chho lon tou ek kyamat hai wo,

ye gazal nahi meri dastan hai doston,

meri kamzori hai wo meri taqat hai wo.......
chor dain sari dunia kisi kay liyay
yay munasib nahi admi kay liyay

pyar say bhe zaroori kiii kaam hain
pyar sub kuch nahi zIndage kay liyay
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zIndagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
Jab say teri chahJab say teri chahat at apni zIndagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai
Tumhe apni yaadon se mitaya na ja saka,
ujari hui zIndagi ko basaya na ja saka.
yun to hoti hai roz mulakat zIndagi,
Per meri jaan ko Mujhse churaya na ja saka.
tuje udas dekhne se pehle ye aankhe na rahe
kaffa ho tu mujse to ye saase na rahe
agar gum he du tuje to teri jIndagi main
hum kya humari yaade tak na rahe
Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

ZIndagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zIndagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta“alluq Par ZInda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa