Inda SMS Messages1123 messages

qismat ruk gayi dil ke taar toot gaye
wo be rooth gaye sapney be toot gaye
khazaney mein the sirf do ansoo
jub app ki yaad ayi wo be loot gaye

zuban khamosh hai ankhoon mein nami hai
yunhi bus ik dastan_e_zIndagi hai
bharney ko toh har zakham bhar jayega
par kesey bharegi wo jagah jahan app ki kami hai!!
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zInda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
Kabhi subha hogi na shaam hogi

ashi koi kahani mare naam hogi

saahil ki mooj ka kiya pata

raat pey likhi tahreer gumnaam hogi

chalte rahay hain bas younhi

jane apni manzil ki gaam hogi

her ati saans per hoti hai subha

koun jane kab zIndagi ki shaam hogi

tum mujhay jitna kureidoo gay

mari metti utni hi kaam hogi

jee raha hoon is umeed per main

tare dar pay zIndagi ki shaam hogi

jis ki yaad main jitay hain hum

yeh zIndagi bas us k naam hogi.
chalo khawab ankhon main saja kar dekhtay hian
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hian
khon k rishton say aitebar uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hian
zIndagi asan ho jaye shayad hamari
chalo hath ki lakiren mita ka r dekhtay hian
andheri shab tu kisi surat kat,ti nahi
chalo ghar apn a jala kar dekhtay hian
hamain maloom hay k tum nay hamara hona nahi
chalo tum per ye zIndagi luta kar dekhtay hian....
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zIndagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
koi mera be toh ho saath nibhaney ke liye
mujhe mangey khuda se apna bananey ke liye

mere ansoo meri palkoon se churaney ke liye
bas wohi ho mujhe siney se laganey ke liye

yoon toh hein chahney waley bahot se duniya mein
nhin hai koi magar saath nibhaney ke liye

din bhar khwab jo tootey the sametey hum ne
phir so gaye naye khwab sajaney ke liye

meri sansoon ki rawani toh faqat dokha hai
haan mein zInda hoon magar sirf dikhaney ke liye!!
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zIndagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
Apne aaghaz se ajj tak zIndagi teri
Hi yaad mein gum rahi...
Phir bhi jaane kyu ye ehsaas hai
Jaise chahat meri kam rahi!
ZIndagi guzar gayi Dil ko samjhaane mein....
Pyaar ke un kisso ko bhulaane mein....
Samajh baithe the jisse zIndagi apni....
Woh shaamil thi meri barbaadi kaa jashn manaane
Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchaiyaan
ZIndagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom "Sameer"
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai...............
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zIndagi ki shaam dhal na jaaye
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zIndagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........