Inda SMS Messages1123 messages

ajeeb tarha sy socha hai zIndagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajnabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky mainny khud ko paish kiya dil lagi k liya
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zIndagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni ZIndagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni ZIndagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya
Sahar Main Bhi Sham Main Bhi
Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi
ZIndagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Sukun Main Bhi Karar Main Bhi
Kaid Main Bhi Farar Main Bhi
ZIndagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Javab Main Bhi
Saval Main Bhi
Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi
ZIndagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Rakib Main Bhi
Yaroo Main Bhi
Tanhai Main Bhi Charo Main Bhi ZIndagi
Din Main Tare Dikhati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai
Iss Qadar Hajoom Ho Teri ZIndagi Mein Khushion Ka
Keh Gham Bhi Agar Guzarna Chahe To Usay Rasta Na Milay
Amin
Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
ZIndagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E ZIndagi
Iss ZIndagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi
Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu
Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu

Nahi Pata Kaha Se Aate Hai Dard
Nahi Pata Doosro Ke Dilo Ka Marj

Woo Shayar Hi Nahi Jo Khusi Na De Sake
Woo Shayari Hi Kya Jisme Khusi Na Mil Sake

Gamo Ke Badal Tu Har Jagah Milege Dost
Pyar Ki Barish Me Bheeg Kar Dekho

Muskan Chere Pe Na Sahi Khusiyu Ko Tu Lete Dekho
Khusiya JIndagi Me Na Sahi Khilkhila Ke Hasna Tu Sikho

Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu
Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu
Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne
Aankhon Ko Ik Chand Dikha Diya Aapne
Hamein ZIndagi To Di Kisi Aur Ne
Par Pyaar Itna Dekar Jeena Sikha Diya Aapne
Mere Charon Taraf Hai Dashat-E-Be Payan Kahan Ho Tum
Mere Mathay Pe Bosa Dene Wali! Kahan Ho Tum

Mujhe Jhulsa Rahi Hai ZIndagi Ki Dhoop Barsoon Se
Meri Umeed, Meri Zeesat Ke Saman Kahan Ho Tum

Kharashain Daal Di Hain Dil Ke Aaine Pe Duniya Ne
Mere Har Dukh, Har Dard Ka Darman Kahan Ho Tum

Main Thak Kar Girne Wala Hoon Mujhe Aaghosh Main Ley Lo
Tahaqub Main Hai Mere Ghardesh-E-Doran Kahan Ho Tum

Mere Woh Dost Khush Qismat Hain Jin Ki Main ZInda Hain
Meri Nazroon Main Sara Shaher Hai Veeran Kahan Ho Tum

Kahan Ho Tum?
Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai

Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai

Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai

Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat Hai

Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai

Yu Aye ZIndagi Mujhe Akela Chordh Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai
tere sath chalna meri zIndagi hai,
tere pyaar mein jalna meri zIndagi hai ,
khushi ki koi ghaddi, ho ya gam ka koi pehlu,
tujhe he yaad karte rehna meri zIndagi hai ,
tera naam marte dum tak meri zuban per rahe ga ,
tera he naam lete rehna meri zIndagi hai,
teri muskrahat ne mujhe jeena sikha diya,
teri muskrahat hi to meri zIndagi hai...........