Inda SMS Messages1123 messages

muhabbaton Main Havas K Aseer Hum Bhe Nahe
Galat Na Jaan K Itnay Hakeer Ham Bhe Nahe

Aur Hamary Doobty Nabzoon Say ZIndage Na Maang
Sakhee Zaroor Hain Per Itnay Ameer Ham Bhe Nahe

Per Nahe Hay To Bhe Qayamat Ke Tond-o-tez Hava
Kisi K Naqsh-e-qadam Ke Lakeer Ham Bhe Nahe

Hamain Bhoja Day Hamary Anaa Ko Khatam Na Kar
Bay Zarar Sahe Per Bay Zameer Ham Bhe Nahe
Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Meri ZIndagi Ki Shama Jalti Hai
Jab Tum Kareeb Se
Meri Taraf Deakhtay Ho
To
Meri ZIndagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain
Aur Jab
Tum Musuratay Ho
To
Tumhari Is Muskurahat Se
Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai
Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon
Kaash!
KHUDA Karay
Tumhari Aankhoun Ki
Aur Hountoo Ki Muskurahat
Sada Youn Hi Qaim Rahay
Tanhayian jaane lagi zIndagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..
Fraib tha unki hansi main,Ashqi samjh bathay


Maut ko hum apni zIndagi samaj baithe,


ye wAQat ka mazaQ Tha ya hamari bAdnaseebi,


unki do baton ko mohAbAt samajh bathay
Hum nay kisi ki yaad may rona he choor diya
Apni zIndagi ko talash karna he choor diya
Sab beeti hui batain bhula dee hum nay
Ab dil may mazii bsana choor diya hum nay
Kantoon say bhar detay hain log daman
Hum nay anghan may naey phool khilana he choor diya
Kabhi na mangain gay bheek kisi k pyaar ki
Isi liye hum nay pyaar karna he choor diya..
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj pe Hairan Hai ZIndagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila

Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila,
Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zIndagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta’alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi ZIndagi Mein Bharosa Na Kijiye
zIndagi k khel ko mere siwa jane ga kaun…






zIndagi kuch bhi nahi uski tamana k siwa..
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zIndagi ki pahalian.
Mere Charon Taraf Hai Dashat-E-Be Payan Kahan Ho Tum
Mere Mathay Pe Bosa Dene Wali! Kahan Ho Tum

Mujhe Jhulsa Rahi Hai ZIndagi Ki Dhoop Barsoon Se
Meri Umeed, Meri Zeesat Ke Saman Kahan Ho Tum

Kharashain Daal Di Hain Dil Ke Aaine Pe Duniya Ne
Mere Har Dukh, Har Dard Ka Darman Kahan Ho Tum

Main Thak Kar Girne Wala Hoon Mujhe Aaghosh Main Ley Lo
Tahaqub Main Hai Mere Ghardesh-E-Doran Kahan Ho Tum

Mere Woh Dost Khush Qismat Hain Jin Ki Main ZInda Hain
Meri Nazroon Main Sara Shaher Hai Veeran Kahan Ho Tum
Tumako Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
ZIndagii Dhuup Tum Ghanaa Saayaa

Aaj Phir Dil Mai Ek Tamannaa Kii
Aaj Phir Dil Ko Hamane Samajhaayaa

Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Hamane Kyaa Khoyaa, Hamane Kyaa Paayaa

Ham Jise Gunagunaa Nahiin Sakate
Vaqt Ne Aisaa Giit Kyuun Gaayaa... :(