ashoor ka dhal jana, Sughra(a.S) ka wo guzar jana,
akber(a.S) teray seenay main, berchi ka utar jana,
aye khoon-e-ali asghar(a.S) medan-e-qiamat main,
Shabir(a.S) ke chehray per kuch aur nikher jana,
Sajad(a.S) yeh kehtay thay, masoom Sakina(a.S) se,
abbas(a.S) ke lashay se chup chap guzar jana,
nanhay se mujahid ko man nay ye nasihat ki,
Teeron ke muqabil bhi, bay khauf-o-khatar jana,
ali ko rulaye ga ta hashr lahoo aksar
Zahra(aS) teri kaliyon ka sehra main bikhar jana
Gali gali Main Usi Ka Parcham
Usi Ka Sajda Jabeen Jabeen hey
Qadam Qadam Pey Sabeel Us Ki
Nazar Nazar Main Wohi Makeen Hai
Hawa Hawa Main Usi Kay Nohay
Wohi Tasveer Khla Nasheen hey
Usi Ka Matam hey aag Per Bhi
Usi Ka Gham Khuld Kaameen Hai
Falak Falak Pay Lahoo Usi Ka Usi Ki Majlis Zameen Zameen Hai
Hussainiat Ko Mitanay Walo
Hussainiat ab Kahan Nahee Hai
QaaDIR KHUDa KI ZaaT HEY QUDRaT HUSaIN HaIN. SaRI HaQIQaTON KI HaQIQaT HUSSaIN haIN. SaJDaY KO TOOL DEK NaBIYE BaTa GaEY. MERI IBaDaTON KI IBaDaT HUSSaIN HaIN
DIL HaI K MUSaLSaL YEH DUa MaNG RaHa HaI
PHIR SaY SaFaR E KERB-O-BaLa MaNG RaHa HaI
SHaBEER a.s K MaQTaL SaY aBHI TaK SaR-E-MOMIN
SaJDON K LIYaY KHaK-E-SHIFa MaNG RaHa HaI
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hotaaur tu jal jata hay..
ab is se barhke kya hai Fazilat HUSSaIN kee,
Jahan kar raha hai Midhat HUSSaIN Kee,
Hum lege Karbala ke Shahidon Ka Inteqam Mahshar me,
Jab lagegi adalat HUSSaIN kee.
Zikre-e-Shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain Shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya Sada-e-Mehdi (aS)
Zikre-e-Shabbir Karo hum ney bachaney waley
Ek Din Humare aansu Hum Se Pooch Bethe
''''Humain Roz Roz Kyun Bulate Ho ? ''''
Hum Ne Kaha ''''Hum Naam-e-Hussain Lete HYn . . . Tum Khud Hii Chale aate Ho''''
Dasht-e-Bala ko arsh ka Zeena Bana diya Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya