Hasan(aS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
ali(aS) ka noor-e-nazar Syeda(Sa) ka lakht-e-jigar
Nabi(SaWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Na Janay Khoobsorat kis Qadar THa WOH aLI ZaDa(a.S)
Farishtay Deakhny aatay thay US aHSaN NaMaZI (a.S) KO
jahan pe QaSIM O aKBaR , SaJJaD JESE THaY
Wahan QaMR e BaNI HaSHIM Kaha Jata tha GHaZI (a.S) ko.
abbas(as) Tajdaar-e-Wafaarjumand hain
aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZaMaNa hai
HUJJaaT KHUDa ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMaM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMaM-E-ZaMaNa(a.s) hai
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne ali(a.s) bar sir e sehra abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan aBBaSS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Durood Zinda Hai apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SaWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(a.S)Zinda Hai.
Ya RaB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day KHaK-E-DaR-E-BOOTRaaB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay KHUDa ke azaab main
Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga Taa-abad aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga Rakh Jeib Mein Ishq-e-ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga