aLI ky hain wasf itnay kay shumar kon karee
ye kaam he PaRWaDIGaR tera or kon karee
tee soch kar na kiyee KHUDa ne paida or aLI
kay shigaf KaBBaY main kon baar baar karay
Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy
aaye baghe askari k muqadas tareen phool
aaye kaaba e fikro nazar aa kibla e asool
aa hum say bhi khiraj e dil o jaan Kijye wasool
Mola tairey bagair hum ko qayamat nhn qabool
Jannat me maalo zar na hukumat k wastay
hum ji rahey hyn teri ziyarat k wastay
Ghum e hussain har eik shahair har eik dariya gaya Jahan qafila na pohncha wahan ghubbar gaya Thi karbala me jang agar shahzadun ki
Qalam me dum hy to likhoo hussain har gaya
Har ibadaat hay meri yad e ali k saye me
kat rahi hy zindahi aulaad e ali k saye me
Moot khud mamoor hy meri hifazaat k liye
har ghari rehta hun main nad e ali k saye me
Jaltay Kyon Ho ali a.s Kay Kamalaat Dekh Ker
iZZat Khuda Bhi Detaa Hay auqaat Dekh Ker
Milti Jo aesay WeSoon Ko Hilti Na ZulfiQaaar
TalWar Haq Nay Di Hay Magar Hath Dekh Ker
Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BaTOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-HUSSaIN a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain
Milta nahi hai koi sahara yazeed ko
BIBI(a.S) ne is tarha se ujara yazeed ko
Khatoon thi is liye jung kar nahi sakti
Khutboo k zulfiqar se mara yazeed ko