apnay Dukhoon mein aya jo SHaHBIR(a.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya Har ghum mein KaRBaLa ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSaIN(a.S) mein tehleel ho gaya
Jis Ne aal e Nabi Ko Sataya Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan
Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya Noor Ko Noor Mana Na Jisne
Ta Qayamat Wo andha Rahega
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha Se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega
Tamanah yeh mere ta umar-e- zindagi rahe gi
Her namaz main bas yehi duaallah kay guzar rahe gi
Shamil mujhe karley MOlaapni foj main
Phir dekhna kis Munkir-e-ali(a.S) ki garden dhar per rahe gi
aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me
aale nabi ka zikr tha jin wakiyaat main
who wakiyaat miltey nahin hai Deeniyat main
jin par fakeer bheek bhi mangtey nahn
woh naam shamil hogaye islamiyat main
Maqtal Mai Dono Hath Kataney Ke Bawjood...... abbas Tere Hath Mai Bazi Hai aaj Tak..... Tune Badal Ke Rakh Diyea Mana Hayat Ke...... Tu To Shaheed Hoke Bhi Ghazi Hai aj Tak
Hassan ko Badshah khas o aam kehte hain
ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki azmat may
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain
Zarurat Thi Talwaar Ki Naaur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De