tum dukhon ke soz ka mosamon ke rog ka dard mat saha karo
udas mat huwa karo
yeh dard hain hayat ke
kuch rung kainat ke
kuch dukh ki tez barishen
kuch phool hein nishat ke
tum phool bus chuna karo
khaar mat chua karo
UDaS MaT HUWa KaRO
dukh dard ke barsat nay pagal bana dia,
tanha smaj k rat nay pagal bna dia,
shikwa nahe kisi say kisi say gila nahe,
mujko mayray he halat nay pagal bana dia,
yay b nahe k un say milainy bar bar hum,
bus ek mulakat nay pagal bana dia,
kehta hai wo her bat pay,
pagal tu nahe ap,
mujko tu isi bat nay pagal bana dia.
vo log bohut Khush-qismat thay
jo ishq ko kaam samjhtay thay
yaa kaam say aashiqii kartay thay
ham jiitay ji masruuf rahay
kuch ishq kiya kuch kaam kiya
kaam ishq ke aa''ray aataa raha aur ishq se kaam ulajhta raha phir aaKhir tang aakar hum nay
donon ko adhuuraa chhorr diya