Har taraf har jagah beshumar aadmi Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi Subah se shaam tak bojh dhota hua Apni hi laash ka khud mazaar aadmi Har taraf bhaagte daudhte raaste Har taraf aadmi ka shikaar aadmi Roz jeeta hua roz marta hua Har naye din naya intezar aadmi Zindagi ka mukkaddar safar dar safar Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy.. Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy.. khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi, Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy… Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye, Aankhon ka ye hal abhi takkal ki baat lagy… Mutthi band kiye baitha hon kkoi daikh naa ly, k chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy